like our Facebook Page

class=""> class="">class="">class="">

Vehicle Insurance Kya Hai Puri Jankari Hindi Me Jane


Vehicle insurance kya hai iski puri jankari iss post me mein aapko batane ja raha hu. Agar aap koi four wheeler or two wheeler kharidna chahte hai to aapko uska insurance jaru karwana chahiye.
Vehicle insurance kya hota hai aur vehicle insurance ke kya kya benefits hai aapko iske bare me pata hona chahiye. Aur aap iss post ko padh rahe hai iska matlab aap vehicle insurance ke bare me janana chahte hai.

Vehicle Insurance Kya Hai Puri Jaankari Hindi Me Jane

Bahut se logo ko vehicle insurance ke bare me jyada jaankari nahi hoti hai. Motor insurance ke bare me jaankari na hone. Ya kam jaankari ke karan logo ko kai bar kafi pareshani ka samna karna padta hai. Isliye auto insurance ke bare me mein aapko batane ja raha hu. To chaliye start karte hai aur janate hai ki vehicle insurance kya hai aur vehicle insurance kyu karnwana chahiye.

Kya Hai Vehicle Insurance

Vehicle insurance ko car insurance, motor insurance aur auto insurance ke name se bhi jana jata hai. Aur vehicle insurance me car, truck, motorcycles aur other road vehicles ka insurance hota hai. Iska main use road accident me physical damage ke against me financial protection provide karwane ke liye hota hai. Chahe vehicle damage ho ya vehicle owner ko chot lag jaye, iska pura kharcha insurance company deti hai.
Iske alawa vehicle chori hone ya kho jane ke against bhi financial protection provide karwata hai. Jis prakar hum life insurance karwate hai ussi prakar se vehicle insurance bhi hota hai. Isme fark sirf ye hai ki ye motor vehicle ke liye hota hai. Motor vehicle ki specific terms alag alag kshetro ke anusar change hoti hai.

Kyu Karwaye Vehicle Insurance

Vehicle insurance humare liye utna hi jarur hota hai jitna ki life insurance. Insured vehicle se accident ho jane aur damage hone par insurance company financially humari puri help karti hai. Chahe aap hospitalize ho jaye ya vahan ka koi nuksan ho. Dono hi condition me insurance company aarthik roop se humari madad karti hai. Aur agar durbhagya vash accident me kisi ki death ho jati hai. To insurance company uski family ko compensation bhi provide karawati hai.

Type Of Vehicle Insurance

Agar aap janana chahte hai ki motor insurance kitne prakar ke hote hai. To mein aapko bata du ki india me car insurance do type ke hote hai. Pehla full party car insurance aur dusra third party car insurance.
Full party insurance accident ke doran huye sabhi prakar ke damages ko cover karta hai. Accident me injured sabhi logo, insured vehicle, dusre vehicle aur usme baithe logo ke nuksan ki bharpai insured company karegi.
Third party car insurance me third party yani kisi dusri gaadi ke sath aapki gaadi se accident hone par. Uski damage ki bharpai insurance company karti hai. Aur third party insurance me agar aapko koi chot lagti hai. To insurance company isko cover nahi karti hai.

Vehicle Insurance Me Kitna Kharcha Hoga

Category ke according alag alag vehicles ke liye insurance coverage bhi alag alag hota hai. Insurance coverage niche diye points par depend karta hai.
  • Gaadi Ka model
  • Vehicle manufacture year
  • Vahan Ka registration
  • Vehicle current value

Vehicle Accident Or Chori Ho Jane Par Kya Kare

Unfortunately koi accident ho jaye aur kisi prakar ki injury ya nuksan ho jaye. To sabse pehle ambulance or police ko call kare. Aur iske baad insurance company ko iss accident ke bare me inform kare. Accident me hue nuksan ke sabut ke liye ho sake to uss time photo khinch lijiye.
Gadi Chori ya kho jane par sabse pehle iski information police ko de. Aur police me FIR darj karwane ke baad iski puri jaankari insurance company ke officer ko bataye.

Insurance Company Se Compensation Kaise Le

Sabse pehle apne motor insurance ke sabhi documents aur unki photocopy apne pass collect kar lijiye. Aur insurance company me submit kare.
  • Insurance ki original document
  • Aapka driving license
  • RC
  • Vehicle repairing receipt
  • Accident ya chori hone ki FIR copy
  • Third party vehicle damage ki receipt
Insurance company me inn sabhi documents ko submit karne ke baad company ki taraf se iski verification hoti hai. Complete inspection hone ke baad insurance inquary officer iski information insurance company ko deta hai. Aur kuch hi dino me company aapko claim ke against compensation de deti hai.
Vehicle insurance kya hai iske bare me ab aap acchi tarah se samajh gaye honge. Agar aapka iss post se related koi sawal ho to comment box me puch sakte ho. Aur agar ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share kare. Taki agar vo vehicle insurance ke bare me nahi janate to unko bhi iski jaankari ho jayegi.

Ye Bhi Padhe

Previous
Next Post »