like our Facebook Page

class=""> class="">class="">class="">

Adobe Photoshop Me Lasso Tool Ka Use Kaise Kare


Adobe photoshop me lasso tool ka use kaise karte hai aaj iss post me mein aapke sath share karne wala hu. Lasso tool ek bahut hi important aur useful photoshop selection tool hai. Aur iska istemal photo selection ke liye ya background change karne ke liye kiya jata hai. Photo select karke aap selected area par easily koi bhi color bhar sakte hai aur effects laga sakte hai. Ya fir selected area ko cut karke other background ke sath set kar sakte hai.
Lasso tool kaise use karte hai aur polygonal lasso tool, magnetic lasso tool ka kya kaam hai. Kaise polygonal lasso tool ka istemal karte hai. Magnetic lasso tool ka use kaise karte hai. Inn sabhi ke bare me aaj iss post me mein aapko bataunga. To chaliye start karte hai aur janate hai ki adobe photoshop me lasso tool ka use kaise karte hai.

Adobe Photoshop Me Lasso Tool Ka Use Kaise Kare

Photoshop me lasso tool ka kya use hai aur kisliye lasso tool ka istemal hota hai ye to aap samajh hi gaye honge. Ab detail me ye jaan lete hai ki lasso tool ka istemal kaise karte hai.
Jaise hi aap lasso tool par click karenge upar property bar me kuch options enable honge. Sabse inn option ke bare me jaan lete hai.
Lasso Tool Ka Use

New Selection

Photo ke kisi area ko select karne ke baad agar aap photo me kahi par click karte hai to aapka selection hat jayega. Aur ab aap jo area select karenge vo new selection hoga.

Add To Selection

Add to selection option ki help se aap ek sath photo ke kai area select kar sakte hai. Isme dusre selection par pehla selection remove nahi hota hai. Isliye aap jitne area select karte rahenge previous selection as bane rahenge.

Subtract From Selection

Photo ka jo area aapne select kiya hai usse aap subtract kar sakte hai. Yani ki selected area ko aap apne hisab se kam kar sakte hai. Selection ko kam karne ke liye selection ke upar jitna area kam karna hai utna area fir se select kare.

Intersect With Selection

Iss option ki help se aap selected part ke beech wala part fir se select kar sakte hai. Isme previous selection remove ho jayega aur under ka area select hoga.
Ab aap lasso tool ke alag alag options ke bare me jaan gaye honge. Ab lasso tool aur lasso tool ke sub tool ke bare me janate hai.
Lasso Tool Ka Use

Lasso Tool

Photo ke kisi part par click hold karte hue area select kare aur jaha par click chhodenge utna part select ho jayega. Lasso tool ki help se aap rectangular, triangular and round kisi bhi shape me selection kar sakte hai.

Polygonal Lasso Tool

Polygonal lasso tool ki help se bhi aap alag alag shapes me selection kar sakte hai. Select karne ke liye aapko starting point par click karna hai. Aur jitne area ko select karna hai vaha par click karte jana hai. Polygonal lasso tool se point to point select hoga hai. Galat selected point ko remove karne ke liye delete key press kare.

Magnetic Lasso Tool

Magnetic lasso tool color ke according selection karta hai aur ye tool ek magnet ki tarah kaam karta hai. Photo ke starting point par click karke chhod de aur mouse ko selection part ke border par ghumaye. Magnetic lasso tool automatically color ke hisab se uss part ko select karta rahega jisse aap select karna chahte hai.

I hope, ab aap samajh hi gaye honge ki adobe photoshop me lasso tool ka use kaise karte hai. Fir bhi aapka koi saval ho to comment karke jarur puche. Aur agar aapko iss photoshoshop tutorial ki ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi jarur share kare.
Previous
Next Post »