like our Facebook Page

class=""> class="">class="">class="">

Facebook Fan Page Ka Name Kaise Change Kare Computer Or Mobile Se


Facebook fan page ka name kaise change kare aaj hum iss post me janenge. Agar aapne bhi facebook par fan page create kiya hai. Aur ab facebook page ka name badalna chahte hai aur nahi janate ki kaise fan page ka name edit karte hai. To iss post me mein iski puri jankari aapko bataunga.
Kisi bhi business ko promote karne aur kisi brands ko communicate karne ke liye facebook business page. Or facebook fan page best way hai. In my case maine apna pehle wala fb page name ko Hinglish Help me convert kiya hai. Aap bhi fb page name ko easily change kar sakte hai. To chaliye janate hai ki facebook fan page ka name kaise change kare.

Facebook Fan Page Ka Name Kaise Change Kare

Iss post me hum computer aur mobile se facebook page ka name change karne ke bare me janenge. To chaliye niche diye gaye easy steps ki help se samajh lete hai ki fb page ka name computer aur mobile se kaise change karte hai.

Step 1

Sabse pehle facebook ki official website me login kare aur apne fan page me jaye.

  1. Share option ke samne 3 dots par click kare.
  2. Edit page info par click kare.

Step 2

Ab ek popup window open hogi, thoda scroll down kijiye. Aur bottom side me See all information ke link par click kare.



Step 3

Next window me aap apne facebook page ke edit section me pahuch jayenge. Yahapar fb page name ke samne Edit option par click kare.



Step 4

Ab ek popup window open hogi, yahapar aap apna fb page name ko badal sakte hai.

  1. New page name ke box me apna naya fb page name enter kare.
  2. Continue ki button par click kare.

Step 5

Fb page name ko change karne ke liye confirmation popup window open hogi. Yahapar Request change button par click kare.



Step 6

Next window me aapko ek message show hoga. Jiska matlab hai ki facebook aapke fan page ke name change ko review kar raha hai. Aur 3 din ke ander jab review end ho jayega to aapko iski notification mil jayegi. Yahapar Ok button par click kare.


Issi tarah se aap apne fb page name ko easily change kar sakte hai. Facebook fan page ka name kaise change kare ab aap samajh hi gaye honge. Upar bataye steps se aap computer ya laptop me apne facebook page ka name change kar sakte hai. Chaliye ab jaan lete hai ki mobile se facebook page ka name kaise change karte hai.

Mobile Se Facebook Page Ka Name Kaise Change Kare.

Android mobile se facebook fan page ka name change karna koi mushkil kaam nahi hai. Aap easily niche bataye simple steps ko follow karke apne fb page name ko change kar sakte hai. To chaliye janate hai ki smart phone ya android phone se facebook page ka name kaise change hota hai.

Step 1

Sabse pehle apne android mobile phone me facebook ki application open kare.
  1. Top right side me drop down menu par click kare.
  2. Thoda scroll down kare aur apne facebook page ko open kare.


Step 2

Next window me Edit page ke icon par click kare.



Step 3

Edit page me jane ke baad ab next window me Settings par click kare.



Step 4

Ab jo next window open hogi, isme aapko Page info par click karna hai.


 

Step 5

Ab aap update page info window me pahuch jayenge. Yahapar aap apne facebook fan page ke name ko edit kar sakte hai.
  1. Facebook page ke name ko change karne ke liye Edit name ke box me new page name enter kare.
  2. Save button par click kare.


Step 6

Ab aapko page name change request ko review karne ka ek message show hoga. Yahapar Save button par click kare.


Step 7

Save button par click karte hi information update ho jayegi. Aur aapka facebook page ka name kuch hi dino me badal kar update ho jayega.


To dosto facebook page ka name kaise change kare pc aur android mobile par ab aap samajh hi gaye honge. Upar bataye gaye steps ke sath aap computer ya android mobile se apne fb page ka name aasani se edit kar sakte hai.
Agar aapka iss post se related koi saval ho to comment karke puch sakte hai. Aur agar ye jankari aapko helpful lagi ho to isse share karna bilkul na bhule.
Previous
Next Post »