Adsense matched content ads kya hai aur matched content ko kaise Create karte hai. Aaj ki iss post me mein aapko bataunga. Matched content ads ki help se aap apne blog ki traffic badha sakte hai. Aur adsense revenue bhi increase kar sakte hai.
Other adsense ads unit ke mukabale matched content ads different hota hai. Kyuki isme aapki dusri post show hote hai jisse aapki site ki page view increase hote hai. To chaliye shuru karte hai aur janate hai ki adsense matched content ads kya hai aur matched content ads ko kaise use kare.
Adsense Matched Content Ads Kya Hai Aur Isse Kaise Create Kare
Google par matched content 2015 me add hua hai aur ye ek free adsense recommended tool hai. Jiske through aap apni site contents ko promote kar sakte hai. Adsense matched content other ads unit se thoda different hai. Topic ki similarity par based hone ke karan matched content ads me aapki site ke other post show hoti hai. Jisse ki aapki site ke page views aur bhi jyada increase hote hai. Page views ke sath hi aap apni site par visitors time spent, ads impression aur adsense revenue ko badha sakte hai.Matched Content Ads Use Eligibility
Matched content ads sabhi publishers ke liye use nahi kar sakte hai. Google adsense ki minimum requirements ke according site par traffic volume aur numbers of unique pages hone chahiye. Jiske baad hi aapki site matched content ke liye elible hoti hai. Abhi ye clear nahi hai ki kitne visitors hone par ya kitne page view hone par matched contend ads use kar sakte hai. Lekin jitni jaldi se aap traffic rank increase karenge aur quality contents ko blog post me use karenge. Utni hi jaldi aapki site adsense matched content ads ko use karne ke liye eligible ho jayegi.Google Adsense Me Multiple Account Kaise Add Kare
Matched Content Ads Eligiblity Kaise Check Kare
Jaise hi aap matched content ads ke liye eligible ho jate hai to aapko google adsense ki taraf se iska notification mil jata. Ya fir matched content eligibility aap niche diye tarike se bhi check kar sakte hai.Sabse pehle apne google adsense account me login kare.
- Settings par click kare.
- My site par click kare.
- Matched content par click kare.
- Agar site matched content ke liye eligible hai to aapki site par right sign ka icon show hoga.
Ab aap samajh gaye honge ki adsemse matched content eligibility kaise check karte hai. Agar aapki site bhi matched content ke liye eligible hai to aapko apne blog par iska use use jarur karna chahiye. Kyuki isse aapki site ke page view aur visitors time spent increase to hote hi hai. sath hi site ka bounce rate kam hota hai aur adsense revenue aur bhi jyada increase hoti hai.
Adsense Matched Content Ads Kaise Create Kare
Ek baar aapki site adsense matched content ke liye eligible ho jaye. To iske baad aap easily adsense par matched content ads create kar apni site par use kar sakte hai. Related content ads unit kaise create karte hai aaiye step by step janate hai.Step 1
Sabse pehle google adsense account me sign in kare.- My ads par click kare.
- Ad units me jaye.
- New ad unit button par click kare.
Step 2
Ab jo next page open hoga isme aapko Matched content ko select karna hai.Step 3
Ab jo next page open hoga isme ad matched ad unite name enter karna hai.- Ad unit name me koi bhi name de sakte hai.
- Save and get code par click kare.
Yahapar mein aapko batana chahunga ki ab aap 3 link ads, display ads aur 2 search ads ke alawa 3 matched content ads blog me use kar sakte hai.
Aap apne according matched content ads ko right sidebar ya fir post ke end me use kar sakte hai. Iss post me aap right side me matched content ad dekh sakte hai.
Adsense matched content ads kya hai aur isse create kaise karte hai, i hope aap samajh hi gaye honge. Fir bhi iss jankari se related aapka koi saval ho to comment box me puch sakte ho. Aur agar ye jankari aapko helpful lagi ho to isse social sites par share bhi jarur kare.
ConversionConversion EmoticonEmoticon